Wednesday, 1 June 2011

Na Sahi...

Ek ped milkar pyar ka, humne lagaya tha kabhi.

Aate jo phal to thik tha, woh na phale toh na sahi .

Kuch na hue to na sahi, na bane to na sahi,

Na mile na sahi, kuch na rahe to na sahi.

Aye zindagi.... har ek raaste se,

Humne pukaara tumhe, socha savara tunhe,

Par tumko accha na laga, koi wada saccha na laga,

Tum roothe ho yeh socha kar, Tum ko manayege magar.

Ab humse roothi teri yeh nazar.

Agar na hase to na sahi, na bane to na sahi,

Na mile na sahi, kuch na rahe to na sahi .

Tum rasta mein ajnabee, lagta tha kyun yeh har ghadi.

Aadhe adhure geet ki, ek tum kadi ek main kadi.

Tumhe dekh ke lagta tha ye, tum ho bane mere vaaste,

Milna hi tha humko magar, Hum na mile to na sahii..


The MInd...

the mind asks

and the mind answers

the mind dreams

and the mind doubts

we wait for the dawn

so the battle can begin

once again, thrown

into action


Mann..

ek mann puche “kuch hai jawaab?”

dujaa manm bole “mein aaphi jawaab!”

ek mann jogi dujaa raajaa

nindiyaan ke paar manawaa

phir chede taar

subah ki raah taake mann bairaagi

ek mushkil chuthe biti raat

aur duji dinke saath tayyar!!

Sunday, 29 May 2011

Kabhi...

Kabhi mein jeena chahu..Kabhi mein bhulu jeena…

Kabhi mein chaahu ye ho,Kabhi mein chaahu wo ho

Kabhi mein bhi kisi ka karun intezar,Ho thoda sa pyaar

Thoda sa badle, Thoda sa behele
Thoda sa machle,Yeh dil khwab ki baat


Milta hi nahi,Dhoonda hai lakh woh

O chehra zamane mein,Jiska roz hi aata hai naam saa..
Dil ke fasane mein.....

Roz usse dhoondu,Roz usse bhulu

Roz usse palu ,Roz usse kho dun

Lafzon mein kahi
Jaane kyun koi hai..ye Meri kahani hi
Apni baaton ko ,Accha hai mai kahu
Apni zubani hi...

Zara sa mein jala hun, Zara sa mein bhuja hun..

Zara sa mein dua hun, Hawao pe sawaar
Ho thoda sa pyaar....

Thoda sa badle..Thoda sa behele..
Thoda sa machle..Yeh dil khwab ki baat

Kyon ??

Kyon, hai yeh khamoshiyan - Jaane kyon tehri si hai zubaan
Jaane kya hogaya - Mausam bhi hai naya
Sukhi zameen - Bheega hai aasmaan


Kyon, hai yeh majbooriyan - Jaane kyon bebas hai hum yahan

Jo phele thi - Ab woh nahi hai hawaien

Kya ho gaya - Hai yeh kaise bataein
Phele thi - Ab woh nahi hai hawaien
Kya ho gaya - Hai yeh kaise bataein

Humne socha nahi tha - Aansu mein doobega lamha khushi ka
Kaise yeh silsile hain - Hey pass phir bhi bahaut faslein hain

Kyon, hain yeh tanhaiyan - Jane kyon suna sa hai jahan
Din jaise raat hai - Jaane kya baat hai
Rootha hua hai humse yeh samaa

Rishte, bikhre hue hain - Phir se inhe jod le sochte hain

Kya ho gaya -Hai yeh kaise bataein

Phele thi - Ab woh nahi hai hawaien
Kya ho gaya- Hai yeh kaise bataein